Thursday, April 14, 2016

Aadatan

Hum zindagi mein aksar aadatan jeete. Jaise aadatan jeene ki bhi ek aadat hi ho gayi. Hum aadatan brush karte hain, aadatan ussi time pe ussi tarah ki chai banaate hain, aadatan parents se baat karte yahaan tak ki aadatan friends ko bhi mil lete hain. Bas ek aadat si ho jaati hain. Aap chaahe jo bhi kar rahe ho zindagi mein, baatcheet, kaam, exercise aadat aapka peecha nahi chodegi. Ya shaayad aap aadat ka pallu nahi chodna chahte. Aadat aapko ek familiar sa, comfort zone deti hain. Wahaan sukoon hain. Pedictability hain. Shaayad hum aadaton mein bahut hi safe feel karte hain. Zindagi jaise ek tareeke se hi jeete hain. Ek baar jab kuch cheez click ho jaati hain, hum harroz ussi cheez ko dohraate hain. Its a sure shot success. Kuch alag tareeke se cheezon ko karne mein failure ka darr rehta hain. Par agar aap harroz ussi tareeke se waise hi zindagi jee rahe ho, toh shaayad aapke experiences bhi waise hi honge. Harroz. Ek hi sarikhe.

Par kya sab din ek hi sarikhe se kabhi hote hain? Kya saare log bhi ek hi sareekhe se hote hain? Kya opportunities aur situations bhi kabhi ek hi sareekhe ki hoti hai? Nahi na? To phir humaara zindagi ko dekhne ka aur ussey harroz jeene ka tareeka ek hi sareekha kyon ho? In this way toh hum humaari kaafi interesting si zindagi ke saath na insaafi kar rahe hain. Zindagi harroz aapko ek naya din, ek naya experience dene ki koshish karti hain. Par aapki sui toh bas ek hi song pe jaise atak gayi ho. Is it fair? Is it fair ki hum har din, har ek shaqs ko ek hi taraazu mein tolte hain?

I feel shaayad isiliye bade gyaani log keh gaye hai ki zindagi ke saath behna seekho. Just go with the flow. Kyonki jaise har experience naya hain, waise har experience ko mehsoos karney ka, ussey deal karney ka tareeka bhi toh naya hona chahiye. Aur yeh tabhi mumkin hai jab hum zindagi ko dono haath se sweekar karein aur kahein ki aaja, aaj main tujhme poori tarah se doobne ke liye taiiyaar hoon. Aur shaayad yeh yakin bhi hona chahiye ki us flow ke saath behna humaara kaam hain. Aur humein safely ek chor se doosre chor tak pahunchaana, zindagi ka.

No comments:

Post a Comment