Thursday, October 3, 2013

Hichkichahat...

    
    Hichkichahat life ko kitni interesting banati hain. Jab aap kissise se milte hain, pehli baar, aap kai choti choti cheezon mein hichkichate hain. Agar maine aisa kahaa aur ussey bura lag jaayega toh? Kya mujhe yeh karna chahiye? Woh mere bare mein kya sochegi wagera wagera. Kuch logon ke saath rishta sirf hichkichahat par bana hota hain. Na hum unhein mitaane ki koshish karte hain, aur na who ussey kam karne ki… Jaise ek badi si deewar ho do logon ke beech. Aur shaayad who rishta ussi deewar pe tika ho. Deewar na ho, toh shaayad who rishta bhi na ho.  Par kuch log hotein hain, jo bas chand mulaakaaton mein, ya kabhi kabhi chand ghanton mein, ya kuch baton se humaare is tarah kareeb aa jaate hain ki who hichkichahat jaise pigal si jaati hain. Kabhi kabaar to sirf ek joke, ya sirf ek touch hi kaafi hota hain uss deewar ko giraane ke liye. Aur achanak aisa lagta hain jaise hum ek-doosre ko kaafi arse se jaante hain… Shaayad yeh uss kshan se aata hain jab hum sochte hain ki hmmm.. yeh bilkul mere jaise hi hain to phir deewar ki zaroorat hi nahi hain. Kabhi aaine aur apne beech kisi deewar ko mehsoos kiya hai aapne?  Ya phir uss soch se ki yeh kaafi alag hain mujhse. Yeh apni jagah theek hain aur main apni jagah sahi. Na mujhe ussey badalni ki zaroorat hain na uske liye mujhe badalna padega. Hum dono baraabar hain, aur ek hi saath jee sakte hain…


    Jab Hichkichahat ki who deewar gir jaati hain. Toh uski kalpana bhi funny ho jaati hain. Phir jab hum milte hain toh aksar aisi baatein kartein hain ki, pata hain jab hum pehli baar mile they toh mujhe to laga tha tum kuch waise they, aur yeh maatra ek hansi ka topic ban jaata hain. Chahe jo bhi ho, hichkicahat ka hona, ya phir uss deewar ka ekdum se gir jaana, life ko kaafi interesting banaata hai. Nahi?  

No comments:

Post a Comment