Wednesday, May 27, 2009

Yeh hai uss paudhe ke naam...

Maine apne aangan mein ek chota sa paudha lagaaya tha. Harroz usey main thoda thoda badhta dekhti. Acha lagta hain jab aapke khudke haathon se boya hua ek chota sa beej dheere ek sunder se paudhe ka roop lene lagta hain. Phir naye patte aate hain, choti choti kaliyaan aur phir rangbirangi phool. Saara aangan un phoolon ki khusboo main mehekta rehta. Kal raat ko zor se baarish hui thi. Subah dekha toh mera woh pauda bah gaya tha. Usne baarish se jhoonjhne ki koshish zaroor ki hogi.. Shaayad usne mujhe yaad bhi kiya hoga aur shaayad mujhe bulaane ki bhi koshish ki hogi.
Kal raat ki zordar baarish mein main ussey sun nahi paayi. Agar main ussey sun paati bhi toh bhi kya main us paudhe ko bacha sakti thi? Shaayad nahi.. Shaayad woh sirf kuch hi dino ke liye meri zindagi ko mehakane aaya tha.

2 comments:

  1. i already told u my feelings but i feel tht this is still somewhere incomplete...

    ReplyDelete
  2. Really? I feel its complete in its own way..

    ReplyDelete