Wednesday, December 10, 2008

Laal patang...


Ek laal rang ki patang toot kar ek ped par aa phasi. Tum sahsa bol uthe, agar main apne gaanv mein hota toh abhi uss patang ko jaakar pakadtaa..

Who patang patang naa hokar jaisa hamaara risthta ho gayi. Bas kuch hi samay pehle who khule aasmaan mein udd rahi thi, un oochaaiyon ko choo rahi thi jiski zameen pe rehkar hum kalpana bhi nahi kar sakte they. Phir achaanak maanjha toot gaya aur who patang us ped par jaa phasi.

Kaash yeh tumhaara gaanv hota toh tum kissi bhi tarah uss patang ko us ped par se zaroor nikaalte aur kanni baandhkar ussey phir udaate.
Tumhein apna gaanv chode kaafi saal ho gaye…

Who patang wohi ki wohi hai. Shaayad ek din who uddkar uss ped se gujarte hue rasste par padi milegi, aur ek chota sa bacha apne sapno ki kanni baandhkar ussey phir udaega. Ya ho sakta hai ki who wohi ki wohi padi rahe. Chupchaap. Kuch samay mein who phat jaayegi. Udaana chaahoge phir bhi tum udaa nahi paaoge. Phir bas woh yaad dilaati rahegi uss samay ki, jab who hamare aasmaan mein khulkar udaa karti thi…

4 comments: