Hichkichahat life ko kitni interesting banati hain. Jab aap
kissise se milte hain, pehli baar, aap kai choti choti cheezon mein hichkichate
hain. Agar maine aisa kahaa aur ussey bura lag jaayega toh? Kya mujhe yeh karna
chahiye? Woh mere bare mein kya sochegi wagera wagera. Kuch logon ke saath
rishta sirf hichkichahat par bana hota hain. Na hum unhein mitaane ki koshish
karte hain, aur na who ussey kam karne ki… Jaise ek badi si deewar ho do logon
ke beech. Aur shaayad who rishta ussi deewar pe tika ho. Deewar na ho, toh
shaayad who rishta bhi na ho. Par
kuch log hotein hain, jo bas chand mulaakaaton mein, ya kabhi kabhi chand
ghanton mein, ya kuch baton se humaare is tarah kareeb aa jaate hain ki who
hichkichahat jaise pigal si jaati hain. Kabhi kabaar to sirf ek joke, ya sirf
ek touch hi kaafi hota hain uss deewar ko giraane ke liye. Aur achanak aisa
lagta hain jaise hum ek-doosre ko kaafi arse se jaante hain… Shaayad yeh uss
kshan se aata hain jab hum sochte hain ki hmmm.. yeh bilkul mere jaise hi hain
to phir deewar ki zaroorat hi nahi hain. Kabhi aaine aur apne beech kisi deewar
ko mehsoos kiya hai aapne? Ya phir
uss soch se ki yeh kaafi alag hain mujhse. Yeh apni jagah theek hain aur main
apni jagah sahi. Na mujhe ussey badalni ki zaroorat hain na uske liye mujhe
badalna padega. Hum dono baraabar hain, aur ek hi saath jee sakte hain…
Jab Hichkichahat ki who deewar gir jaati hain. Toh uski kalpana
bhi funny ho jaati hain. Phir jab hum milte hain toh aksar aisi baatein kartein
hain ki, pata hain jab hum pehli baar mile they toh mujhe to laga tha tum kuch
waise they, aur yeh maatra ek hansi ka topic ban jaata hain. Chahe jo bhi ho,
hichkicahat ka hona, ya phir uss deewar ka ekdum se gir jaana, life ko kaafi
interesting banaata hai. Nahi?